Irtiqa which literally means Evolution, is a challenge to Pakistani fundamentalism from an average human being.
The poem Irtiqa 3, performed by eP (Entity Paradigm) -
Kuch aitraaz hai, kuch ikhtilaf
Gar aaj is mushkil mein daal hi diya hai
Toh suno, suno ki main ek jhoot hun
Ek muh bolta, muh phaat jhoot
Main bhi aur tum bhi, jhoot
Yeh gard-o-nawah ke pech-o-kham
Yeh tajasus-e-dil-o-dimag
Peer-o-alam, ustad-e-muhtaram
Yeh raasta dikhane wale
Sab jhoot hain, jhoot hain, main bhi aur tum bhi
Yeh baatein shayad samajh na pao
Ki nazar faqat shanas hai
Mustarid roshni ko sach jaanne ki
Haqeeqat maanne ki
Alfaz ke madaar mein alfaz hi alfaz hain
Alfaz ke is bhanwar mein alfaz ki talash hai
Alfaz se toh soch hai
Yeh baatein shayad ab bhi samajh na aaye
Ki yeh alfaz bhi toh jhoot hi hain
Sab jhoot hain, main bhi aur tum bhi
Gar aaj is raat ne parda chaak kar hi diya hai
Toh suno, suno aur sun lo
Ki yeh raat is dil se zubaan chahti hai
Yeh raat subah-e-tareek se panah chahti hai
Har woh soch jo alfaz se mashroot hai
Yeh raat us soch ki kadi saza chahti hai
Yeh raat har us haalat ki maut chahti hai
Jo ishq ke badle khuda chahti hai
Yeh raat irtiqa chahti hai
Lyrics for the rest of their tracks. Very highly Recommended!!
You can always find their videos on YouTube (Aghosh, Waqt are worth a watch) and download their album here.

12:37 PM |
Category: |
0
comments
Comments (0)